Saturday, 15 November 2014
Ghalib Ghazal
*) Aah Ko Chahiyay Ik Umr Asar Honay Tak
Kon Jeeta Hai Teri Zulf Keh Sar Honay Tak
*) Daam-E-Har Mauj Main Hai Halqa-E-Sad Kaam-E-Nehang
Dekhain Kya Guzray Hai Qatray Peh Gauhar Honay Tak
*) Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Baitab
Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-E-Jigar Honay Tak
*) Hum Nay Mana Keh Taghaful Na Karo Gay Lekin
Khaak Ho Jaayen Gay Hum Tum Ko Khabar Honay Tak
*) Partau-E-Khoor Say Hai Shabnam Ko Fana Kee Taaleem
Main Bhee Hoon Aik Inayat Kee Nazr Honay Tak
*) Yak Nazr Baish Nahin Fursat-E-Hastee Ghafil
Garmi-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Honay Tak
*) Gham-E-Hastee Ka 'Asad' Phir Say Ho Juzmarg Ilaaj
Shamma Har Rang Main Jaltee Hai Sehar Honay Tak
0 Responses to “Ghalib Ghazal”
Post a Comment